Monday, December 21, 2009

Shikwa

Us ki jafaon nay mujhay ik tehzeeb sikha di hai Faraz........
Main rotay huay so jata hoon par shikwa nahi karta

Ho Jaun

Apni khushian luta kar tujh per qurban ho jaun
Kash kuch din main tere pas mehman ho jaun
Tu apna nayab dil mujh ko de aur phir mange
Me mukkar jaun aur be-eman ho jaun
Tu mujh pe sitam kare har kisi ki tarah
Me teri is ada par bi meharban ho jaun
Tu mere paon ki neche se zameen kheench le
Aur me tera aasman ho jaun
Tu muj say door door bhagta phiray
Khuda koi moujza kare aur me tere nam ho jaun

Sunday, December 6, 2009

ASSAR - HUMSAFAR

Uski Nighal main itna assar tha Faraz
Kay Khareed li sus nay aik nazar main zindagi meri



Koi dhoond aisa humsafar, Jisay to apna banasakay
Tu kahay kay raat ho gai, or wo chandni luta sakay
Teray aanso ko wo samait lay, kay koi na tujh ko rula sakay

ACHI LAGI

Zara si roshni mujh ko achi lagi
Mujhe teri ek lamhe ki hansi achi lagi
Tujh se baat kit hi jo ek roz
Bas usi din se mujhay apni zindagi achi lagi

KHYAL

Tapti rahi hay aas ki kirno pay zindagi
Lahmhay judayoun kay mah-o-saal ho gai
Jo kabhi her roz mila kartay thay Faraz
Wo chehray to ab khawab o khyal ho gai

Saturday, December 5, 2009

Tum Agar

Tum agar yaad rakho gay to inayat hogi
warna ham ko kahan tum se shikayat hogi

ye tou bewafa logon ki dunya hai
tum agar bhool bhi jao to riwayat hogi