Monday, September 6, 2010

Meri Aankhon main utar aao

Meri Aankhon Mai Uatr Aao,
Inhe Samundar kr do,

kuch Dair hi sahi Muhabat ki nazar kar do,
Tot kay milo kay armaan na reh jay koi,

Yun Muhabat k her lamhe ko Amar kr do,
ham pay na aay koi Qayamat sa Waqat,

Bari mushkil hai judai,
isay Mukhtasir kr do,

Jin k nor se mil jay benai Humain bhi,
Apne khawabon ko Meri Aankhon ki Nzr kr do,

Duniya ki talab nhi mgr ye Hasrat hia hamari,
Apne Bahon mai lo Dunia se bekhbr kr do.!

Daikhna ek din

Daikhna ek din tumhe ma chor jaun ga,
Tumharay sath apna b dil tor jaun ga,

Tum yad kero gay mujh ko chooti hui hewaon ko,
Daikhna ma un ka rukh mor jaun ga,

Tum yad kero gay meri nadan si jafaon ko,
Tum yad kero gay meri meethi si sezaon ko,
Daikhna ek din tumhe ma chor jaun ga....

Meri CHAHAT ko AAZMA k DIKHA!

Tu apny FUN se
Meri CHAHAT ko AAZMA k DIKHA!

Main TOOT-TA hoon
Tu phir se mujhy BANA k DIKHA!

Tere BADAN maen LAHOO bun k DORRTA hoon main!

Tujhy ANAA ki QASAM hay
Mujhy BHULA k DIKHA!

Main itny DARD maen b QEHQAHY lagata hoon!

Tu EK DUKH maen mujhy sirf MUSKURA k DIKHA!

Tujhy to main ne HAMESHA MANAYA hay lekin,

Main AAJ ROOTH chala hoon
Mujhy MANAA k DIKHA..!!!

Thursday, September 2, 2010

Nafrat

Is jahan ki zindagi mujhay achi nahi lagti Mohsin
Suna hai baad marnay kay koi nafrat nahin karta

Dard kya hota hai

Dard Kia Hota Hai Batain Gain Kisi Rooz
Kamal Ki Ghazal Tum Ko Sunain Gain Kisi Rooz

Thi Un Ki Zidd K Main Jaoon Un Ko Mananay
Mujh Ko Yeh Veham Tha Woh Bolain Gain Kisi Rooz

ALLAH Qasam Main Nay Tu Soocha Bhi Nahin Tha
Woh Itna Merey Dil Ko Dukhain Gain Kisi Rooz

Har Rooz Aainay Say Yeh Hi Poochta Hoon Main
Kia Rukh Pay Tabbassum Bhi Sajain Gain Kisi Rooz

Urrnay Do In Parindoon Ko Azaad Fiza Main
Tumharay Hoon Gain Agar Lout Hi Ayein Gain Kisi Rooz

Apnay Sittam Ka Dekh Lena Khud Hi Assar Tum
Zakhm-E-Jigar Tamaaam Dekhain Gain Kisi Rooz

Sadaa

Dyare ghair se kaise tuje sada dete
tu mil b jata tu akhir tuje ganwa dete,

Tumhe ne na sunaya hum ko apna gham warna
dua wo karte k asman hila dete,

hamen ye zuam raha k ab k wo pukaren ge
unhen ye zid thi k her baar hum sada dete,

Wo tera gham tha k taseer mere lehje ki
k jis ko haal sunate usey rula dete,

Tume bhulana awal tu dastaras main na tha
jo ikhtyar hota bhi tu kya bhula dete,

Terkhayal ne koi jawab he na diya
mere khayal k anso rahe sada dete,

Samaaton main ta umar kosta he raha
wo kuch bhi na kehte hont tu hila dete.

Chubti hai tanhai

Katoon si chubhti hai Tanhai
Angaroon si sulagti hai Tanhai

Koi aa kar hum dono ko hansa de
Main rota hoon rone lagti hai Tanhai

Jab bhi tere Hisar se nikalna chaha
Yaadoon k beej bone lagti hai Tanhai

Raat k kisi hise main yeh bhi Bewafa ho jati hai
Main nahi sota sone lagti hai Tanhai

Tum se judaa ho kar is se hi Dil laga lia hai
Mar sa jata hoon jab khone lagti hai Tanhai

Aaiinaa-e-khuloos-o-wafaa chuur ho gaye

Aaiinaa-e-khuloos-o-wafaa chuur ho gaye
jitne chiraaGh-e-noor the, benoor ho gaye

maaloom ye huvaa ke wo raste ka saath thaa
manzil kareeb aayii to ham duur aa gaye

manzoor kab thii hamko watan se ye duuriyaaN
haalaat ki jafaaoN se majbuur ho gaye

kuch aa gayii ham ahl-e-wafaa meiN bhi tamkanat
kuch wo bhii apne husn pe maGhruur ho gaye

chaaraGaroN ki aisii inaayat huvii Hafeez
ke jo zakhm bhar chale the wo naasuur ho gaye