Friday, September 19, 2008

HUM JO TOOTE TO IS TARAH TOOTE

Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote

JIS SIMT BHI DEKHON NAZAR AATA HAI TUM HO

Jis simt bhi dekhoon nazar aataa hai keh tum ho
Ay jaan-e-jahaan ye koi tum saa hai keh tum ho
Yeh khwaab hai khushbuu hai ke jhonkaa hai keh pal hai
Yeh dhundh hai baadal hai ke saayaa hai keh tum ho
Is deeed ki sa'at maiN kaee rang hain larazaaN
MaiN hoon ke koi aur hai duniyaa hai keh tum ho
Dekho yeh kisi aur kee aankhaiN haiN keh meri
Dekhoon ye kisi aur kaa cheharaa hai keh tum ho
yeh umr-e-guraizaan kaheeN Tehray tu ye jaanooN
Hur saans maiN mujh ko yeh lagtaa hai keh tum ho
Hur bazm maiN mauzoo-e-sukhan dil zaadgaan ka
Ab kaun Shireen hai keh Lailaa hai keh tum ho
Ek dard kaa phailaa hua saharaa hai keh maiN hoon
Ek mauj maiN aayaa huaa dariya hai keh tum ho
Woh waqt na aaye ke dil-e-zaar bhee sochay
Is shahar maiN tanhaa koi ham sa hai keh tum ho
Ay jaan-e-'Faraz' itani bhi taufeeq kisay thee
Hum ko gham-e-hasti bhee gawaaraa hai keh tum ho

Tuesday, August 12, 2008

Kyoun

Aankhon se ansu kyoun jhalak jatay hain
Tanhayoun main gham kyoun yaad atay hain
Aansu poch kar koi yeh bata de humain
Door rehne walay aksar yaad kyun atay hain

Door Nahi

Hum nazron se door hain aankhon se nahi
Hum khawabon se door hain khayalon se nahi
Hum dil se door hain dharkano se nahi
Hum aap se door hain apki yadon se nahi

Sukhay Gulab

Salon baad najane kya sama hoga
Hum sub doston me se najane kon kahan hoga
Phir milna hua to milenge khawabon me
Jaisay sukhay gulab miltay hain kitabon main

Chahat Ka Asar

Guzre hoay pal wapis nahe atay
Khushi ho jahan wahan aansu nahi atay
Yeh apki chahat ka hi asar hay janab
Jo ap hamain aur hum apko bhool nahe patay

Khawahish

Ay Daagh tujh ko rizk ki khawahish hai ghair say
Itna ye gham khilae ga khaya na jaye ga
Barishon kay lams nay to or taza kar diya
Zakhm-e-dil kay wastay ab barf bari chahiye

Dua

Ek Dua maangtay hain hum Khuda say
Chahtey hain apki Khushi pooray emaan say
sab hasratain poori hon ap ki
Aur ap muskurain Dil o Jaan Say
"Aameen"

Monday, August 11, 2008

Dosti

Ishq aur dosti meri zindagi ka unwan hai
Ishq meri rooh dosti mairi jaan hai
Ishq pe kardon fida Main apni sari zindagi

magar dosti par mera ishq bhi qurban hai


Yaad

Aj us ki yaad ne humain tarpaya bohat
Aj na chahaty howay bhi wo yaad aaya bohat
Us ki bina tu jaise vehshaton se dosti ho gae
phir q aaj tanhaiyoon ne darraya bohat
Wo mera tha mera hai mera rahy ga
Hum ne is khayal se khud ko behlaya bohat

Hasrat

Kabhi chand ban kay mila karo
Kabhi phool ban kay khila karo
Mere dil me bajte saaz ko kabi
chupke chupke suna karo
main hawa ban kay aon ga
tum raston me raha karo
Meri zindagi kay andheron me tum
Charagh ban kay jala karo
Meri subah me meri shamon me
Mera zikar ban kay raha karo