Friday, September 19, 2008

JIS SIMT BHI DEKHON NAZAR AATA HAI TUM HO

Jis simt bhi dekhoon nazar aataa hai keh tum ho
Ay jaan-e-jahaan ye koi tum saa hai keh tum ho
Yeh khwaab hai khushbuu hai ke jhonkaa hai keh pal hai
Yeh dhundh hai baadal hai ke saayaa hai keh tum ho
Is deeed ki sa'at maiN kaee rang hain larazaaN
MaiN hoon ke koi aur hai duniyaa hai keh tum ho
Dekho yeh kisi aur kee aankhaiN haiN keh meri
Dekhoon ye kisi aur kaa cheharaa hai keh tum ho
yeh umr-e-guraizaan kaheeN Tehray tu ye jaanooN
Hur saans maiN mujh ko yeh lagtaa hai keh tum ho
Hur bazm maiN mauzoo-e-sukhan dil zaadgaan ka
Ab kaun Shireen hai keh Lailaa hai keh tum ho
Ek dard kaa phailaa hua saharaa hai keh maiN hoon
Ek mauj maiN aayaa huaa dariya hai keh tum ho
Woh waqt na aaye ke dil-e-zaar bhee sochay
Is shahar maiN tanhaa koi ham sa hai keh tum ho
Ay jaan-e-'Faraz' itani bhi taufeeq kisay thee
Hum ko gham-e-hasti bhee gawaaraa hai keh tum ho

No comments: