Sunday, June 27, 2010

Abhi Ghar Na Jaana

Abhi ghar na jana
Ye bikhri si zulfain,              
Ye phaila sa kajal
Ye baichain aankhain,
Ye simta sa aanchal
Teray haal say log pehchan lain gay
Tujhay dekh kar sab mujhay jaan lain gay
Ye behkay qadam
Ye larkharati jawani
Ye baitab dil or muhabbat diwani
Shafaq jaisay gaalon pay ubhri hui hai
Meray honton ki ik mehakti hui nishani
Teray jism say urti meri yeh khushboo
Suna day gi har ik ko Sari Kahani
Na bun jai apna milan ik fasana
Suno Jan-e-Jana Abhi Ghar na jana

No comments: