AJNABI
main usay kaisay akela chor dun is raah main
sath jo chalta raha majburuyn kay baad bhi
Ban kay khushbo rach gya hai yun meray ehsas main
Door ho paaya nahi wo dooryun kay baad bhi
Rafta rafta usko bhi dunya raas aai gai
Muskara kay wo mila hai ranjishon kay baad bhi
Faslay kab kum huay hain raabton kay baad bhi
Ajnabi thay ajnabi hain itni gehri Dosti kay baad bhi
No comments:
Post a Comment