Dil say wisaal-e-yaar ka armaan bhi gya
Dekho jo ghar udas to mehman bhi gya
Kar li hai uss ne phir gham-e-jana se dosti
Lo apne haath se dil-e-nadaan bhi gya
Mushkil tha apni raah pe lana usay magar
Tha baat mein khuloos to wo maan bhi gya
Dikhlaye kya bahaar ne josh-e-junoon kay rang
Daaman bacha rahay thay garaiban bhi gya
Us ki wafa kabhi bhi na haasil hui mujhe
Main uss kay darr pe le ke dil-o-jaan bhi gya
No comments:
Post a Comment