Nibhanay ka irada ho to waada kar lya jai
Chalo mil kar gham-e-hasti ko aadha kar lya jai
Andheri shab ka khatra ho to aisa kar lya jai
Kisi jugnu ki baanhon ko sahara kar lya jai
Yahan kaantay bhi ugtay hain Yahan kalyan bhi khilti hain
In hi kay darmyan reh kar guzara kar lya jai
Bharosay kay nahi laiq koi insaan yahan lekin
Jo jeena hai to logon per bharosa kar lya jai
Lagaya jai andaaza andheri raat ka pehlay
Phir us kay baad ashkon ko sitara kay lya jai
No comments:
Post a Comment