Sunday, July 25, 2010

Teri tarah koi deewana ghar say nikla tha

Ajab janoon-e-musafat main ghar say nikla tha
Khabar nahi kay sooraj kidhar say nikla tha
yeh kon phir say mujhay raston main chor gya
Abhi abhi to azab-e-safar say nikla tha...
Ye teer dil main magar bay-sabab nahi utra
Koi to harf lab-e-chara-gar say nikla tha
Main raat toot kay roya to chain  say soya
K dil ka zehar meri chashm-e-tar se nikla tha...
wo qais ab jisay majnon pukartay hain, mirza
Teri tarah koi deewana ghar say nikla tha

No comments: