Friday, November 19, 2010

Pin Khula, Tie Khuli

Pin khula, tie khuli, baklus khula, collar khula
Khultay khultay dairh ghantay main kahin jaa kar afsar khula
Aath dus ki aankh phooti, aath dus ka sar khula
Lo khateeb-e-shehar ki taqreer ka johar khula
Sach hay mashriq aur maghrib aik ho saktay nahi
Us taraf biwi khuli hai is taraf shohar khula
Teri qismat main aati hai to jaati hi nahi
Meray ghar kay bilmuqabil koyla centre khula
Unka darwaza tha mujh say bhi siwa mushtaq-e-deed
Main nay bahar kholna chaha to wo andar khula
Aadmi ehsas-e-mansub kay mutabiq qaid hay
Dekh lo deputy commissioner bund hay, reader khula.

Monday, September 6, 2010

Meri Aankhon main utar aao

Meri Aankhon Mai Uatr Aao,
Inhe Samundar kr do,

kuch Dair hi sahi Muhabat ki nazar kar do,
Tot kay milo kay armaan na reh jay koi,

Yun Muhabat k her lamhe ko Amar kr do,
ham pay na aay koi Qayamat sa Waqat,

Bari mushkil hai judai,
isay Mukhtasir kr do,

Jin k nor se mil jay benai Humain bhi,
Apne khawabon ko Meri Aankhon ki Nzr kr do,

Duniya ki talab nhi mgr ye Hasrat hia hamari,
Apne Bahon mai lo Dunia se bekhbr kr do.!

Daikhna ek din

Daikhna ek din tumhe ma chor jaun ga,
Tumharay sath apna b dil tor jaun ga,

Tum yad kero gay mujh ko chooti hui hewaon ko,
Daikhna ma un ka rukh mor jaun ga,

Tum yad kero gay meri nadan si jafaon ko,
Tum yad kero gay meri meethi si sezaon ko,
Daikhna ek din tumhe ma chor jaun ga....

Meri CHAHAT ko AAZMA k DIKHA!

Tu apny FUN se
Meri CHAHAT ko AAZMA k DIKHA!

Main TOOT-TA hoon
Tu phir se mujhy BANA k DIKHA!

Tere BADAN maen LAHOO bun k DORRTA hoon main!

Tujhy ANAA ki QASAM hay
Mujhy BHULA k DIKHA!

Main itny DARD maen b QEHQAHY lagata hoon!

Tu EK DUKH maen mujhy sirf MUSKURA k DIKHA!

Tujhy to main ne HAMESHA MANAYA hay lekin,

Main AAJ ROOTH chala hoon
Mujhy MANAA k DIKHA..!!!

Thursday, September 2, 2010

Nafrat

Is jahan ki zindagi mujhay achi nahi lagti Mohsin
Suna hai baad marnay kay koi nafrat nahin karta

Dard kya hota hai

Dard Kia Hota Hai Batain Gain Kisi Rooz
Kamal Ki Ghazal Tum Ko Sunain Gain Kisi Rooz

Thi Un Ki Zidd K Main Jaoon Un Ko Mananay
Mujh Ko Yeh Veham Tha Woh Bolain Gain Kisi Rooz

ALLAH Qasam Main Nay Tu Soocha Bhi Nahin Tha
Woh Itna Merey Dil Ko Dukhain Gain Kisi Rooz

Har Rooz Aainay Say Yeh Hi Poochta Hoon Main
Kia Rukh Pay Tabbassum Bhi Sajain Gain Kisi Rooz

Urrnay Do In Parindoon Ko Azaad Fiza Main
Tumharay Hoon Gain Agar Lout Hi Ayein Gain Kisi Rooz

Apnay Sittam Ka Dekh Lena Khud Hi Assar Tum
Zakhm-E-Jigar Tamaaam Dekhain Gain Kisi Rooz

Sadaa

Dyare ghair se kaise tuje sada dete
tu mil b jata tu akhir tuje ganwa dete,

Tumhe ne na sunaya hum ko apna gham warna
dua wo karte k asman hila dete,

hamen ye zuam raha k ab k wo pukaren ge
unhen ye zid thi k her baar hum sada dete,

Wo tera gham tha k taseer mere lehje ki
k jis ko haal sunate usey rula dete,

Tume bhulana awal tu dastaras main na tha
jo ikhtyar hota bhi tu kya bhula dete,

Terkhayal ne koi jawab he na diya
mere khayal k anso rahe sada dete,

Samaaton main ta umar kosta he raha
wo kuch bhi na kehte hont tu hila dete.

Chubti hai tanhai

Katoon si chubhti hai Tanhai
Angaroon si sulagti hai Tanhai

Koi aa kar hum dono ko hansa de
Main rota hoon rone lagti hai Tanhai

Jab bhi tere Hisar se nikalna chaha
Yaadoon k beej bone lagti hai Tanhai

Raat k kisi hise main yeh bhi Bewafa ho jati hai
Main nahi sota sone lagti hai Tanhai

Tum se judaa ho kar is se hi Dil laga lia hai
Mar sa jata hoon jab khone lagti hai Tanhai

Aaiinaa-e-khuloos-o-wafaa chuur ho gaye

Aaiinaa-e-khuloos-o-wafaa chuur ho gaye
jitne chiraaGh-e-noor the, benoor ho gaye

maaloom ye huvaa ke wo raste ka saath thaa
manzil kareeb aayii to ham duur aa gaye

manzoor kab thii hamko watan se ye duuriyaaN
haalaat ki jafaaoN se majbuur ho gaye

kuch aa gayii ham ahl-e-wafaa meiN bhi tamkanat
kuch wo bhii apne husn pe maGhruur ho gaye

chaaraGaroN ki aisii inaayat huvii Hafeez
ke jo zakhm bhar chale the wo naasuur ho gaye

Sunday, August 15, 2010


!!!!....Bebas kr deta hai qanoon-e-mohbat warna.....
Main tujhy itna chahun k intaha kr dun.....!!!!

!!!!....Nafratain lakh sahi us ko "meri zaat " sai "Magar"
!!!....Mery "ziker" pay us ka "dil "tu dharakta hoga''''

Hmnasheen kesy bataon jazb-e-ulfat kia hai
khud batay gi muhabt k muhabt kia hai!!
ishq ko log kiun masiha samjhty hain
agar nahi ishq haqiqat tu haqiqat kia hai
aya parwana gira shama pe jal jal k mara
tu ab b soch raha hai yeh k muhabt kia hai
ishq ko bhol k jannat ki hai dunia ko talash
ishq ki agg agar dozak hai to jannat kia hai!!!
meri badli hoi rangat meri halat tu dekho
ab to samajh lo ai hmnasheen k muhabt kia hai!!!

♣us k kehny par us ki tamana b chor di hm ny...........
faraz
♣ zara hm b tu dekhain k kon chahta hai usy hamari trhan..........

Wednesday, August 11, 2010


♠ Teri aik khushi ki khatir ghum chupaye
♠♠♠ SAQI♠♠♠♠
♠Agr main aik bar bhi rota to tera shehr doob jata................

A kash Aisa ho jay

A kash k aisa hojy....... ise chaha tum ne har lamha,
Jise socha tum ny hr lamha....... wo shakhs tmhara ho jay,

Tum jis sai mohbt karty ho........jise dekh kr jety marty ho
Jesy kho deny sai darty ho..... wo shakhs tmhara ho jay,

Wo jiski yadun may kho kr......... tm waqt guzara karty ho,
Wo jis ki batun may kho kr tm so jaya karty ho

A kash aisa ho jay wo shakhs tmhara ho jay...............

♣ Bazm-e-jahan'n mein apni ghareebi na pochiay.......
♣ Aik dard-e-dil hai wo bhi , kisi ka dia hua..............

♦ kabi jo zindagi ki uljahnen tm ko hi uljha dain..............................................
kabi jo raste k fasle kate na katen...............
kabi jo rat ki tanhai mein tum saye ko dhoondo kisi apne ko socho.................
kisi pyare ko dhondo /...............to phir tum apni ungliun k darmiyan kuch mehsus karna..............
apne hath ki grift me tum aik hath pao gay
mujhy tum hamesha sath pao ge..............

rishty


Hath Choor Do To Rishty Tota Nai Krty!!!
Waqt K Sath Lamhy Tuta nai Karty!!!
Milty Hain Kuch Log Aisy Zindagi Main!!!
Jin Se Kabi Naty Tuta Nai Karty!!!!!!!!!!!

Friday, August 6, 2010

SAANS KAY BAAD

Meray ishq nay seekh li hai ab waqt ki taqseem
Woh mujay bohat kam yaad aata hay
Sirf itna kay her SAANS KAY BAAD

NA MILA KARO NA GILA KARO

HAIN SABHI KO HUM SAY SHIKAYATAIN
PER HUMAIN KISI SAY GILA NAHI
YE USOOL HUM NAY BANA LIYA
NA MILA KARO NA GILA KARO

Woh shaks raat phir meri hasti pay chah gya

Woh shaks raat phir meri hasti pay chah gya
Itna qareeb aya kay dil main samaa gya
Woh aik kpal jo day gya Aasudgi ki lehar 
Jazbon ko taaza dhoop main pagal bana gya
Pehlay meray wajood par utra woh boond boond
Barsa to phir ghata ghata ki tarah mujh pay chaa gya
Woh hjab mila to piyas say lab khushk thay bohat
Louta to hasraton ko wo paani pila gya
Paband kar gya mujhay lamhon ki qaid main
Aankhon pay apni yaad kay pehray bitha gya

WAISAY HI RAHAY

Tum to bichar gai magar sapnay wohi rahay
Mausam badal gai magar manzar wohi rahay
Hoti rahi sargoshian tanhayun kay sath
Lehrain badal gain magar sahil wohi rahay
Kuch aisay taqdeer nay faislay kye
Duaian badal gain magar daman wohi rahay
Hum chah kay bhi umr bhar nashad hi rahay
Umr beet gai magar hum waisay hi rahay

CHAAND

Utra tha chand kabhi mere bhi dil main
Per falak kay sitaron ko ye gawara na hua
Hum to sitaron say bhi baghawat kar jatay
Per wo Chand hi dil say hamara na hua

Shaayad


Bichar jana mera youn bhi usay manzor hai shayad
Kareay to kiya karay wo bhi bohat majboor hai shayad
Main us kay shehar hi jo chor aaya hon to kiya hasil
Meri manzil mohabat ki abi kuch door hai shayad
Main us kay piyar main har shaks say baygana rehta hoon
Sabhi mehsoos kartay hain bohat maghroor hai shayad
Zamana hum ko bhi kuch janta hai per nahi itna
Wo hum se bhi zeyada shehar main mashoor hain shayad

So Jaao

Apnay dil ko sambhalo aur so jao
Aansur aankhon may chupa lo or so jao
Kuch nahi milta ishq main siwae is kay
Ghum ki barish main naha lo or so jao
Chor do ye raaton ko diar tak jagna
Uski yad dil say mita or so jao
Ishq may hamesha bewafai he hoti hai
Ye baat zehan main bitha lo or so jao

Meray Buss Main Nahi

Tumhain paa kay khona mere bus me nahi
Ab koi or zakham pirona mere bus me nahi
Ek umr tak dhoya hai dil kay daghon ko
Ab ye dagh dhona mere bus me nahi
Jaag chukey hain bohat shab ki tanhayoun me
Kay ab raaton ko sona mere bus main nahi
Khushion ki aakhri umeed le kay aaya hon tere dar pe
Dukhon me ab or rona mere bus main nahi
Tere baad nazar aati nahi mujhay koi bhi manzil
Kisi aur ka hona ab mere bus me nahi

Yaad Rahay Ga

Wo sham wo rukhsat ka sama yad rahay ga
Wo shehar wo safar wo makan yad rahay ga
Hum bhol sakay hain na tujhay bhol sakain gay
Tu yaad tha, yad hai aur yaad rahay ga

Jeenay ki Aaadat

Akeley jeenay ki aadat to pehlay say thi...
Janay kyoun tanhai mehsus ho rahi hai teri badal janay kay baad

Sunday, July 25, 2010

Hamsafar

Guftagu achi lagi zok e nazar acha laga
Muddaton kay baad koi hamsafar acha laga
Manzilon ki baat choro kis nay paein manzilain
Ek safar acha laga ek hamsafar acha laga

Likhtay Hain Faqat Us kay liye

Badnaam zamany main mohabbat nahi kartay
Dil walay to dushman se bhi nafrat nahi kartay
Ek baar jisay chaha sada us kay rahay phir
Hum log amaanat main khayanat nahi kartay
Tanhai main kar lete hain yaad aansoo baha kar
Zahir kabhi hum apni ebadat nahi kartay
Waqt aanay par maloom yeh ho jaye ga us ko
Hum sirf dikhaway ki mohabbat nahi kartay
Likhtay hain faqat ek us kay liye ghazlain
Har shaks pe hum aisay enayat nahi kartay

Tu nay khushboo mere lehjay main basa rakhi hai

Pyas darya ki nigahon se chupa rakhi hay
Aik badal se bari aas laga rakhi hai
Teri aankhon ki kashish kese tujhay samjhaon
In chiraghon nay meri neend ura rakhi hai
Teri baaton ko chupana nahi aata mujh ko
Tu nay khushboo mere lehjay main basa rakhi hai
Ik umr say aadat hai teray sham o sehar ki
saajan
Ab kon teri yaad kay mamool ko badlay

Mohabaton main yehi khauf kyun musallat rehta hai
FARAZ
Kahin meray siwa kisi aur say to mohabbat nahi usay

Jab bhi teri deed ka imkaan rahay ga
Dil or pareshan pareshan rahay ga
Chalo door reh kar khawabon main miltay hain
Milnay kay yehi raasta aasaan rahay ga

Phir us kay baad ashkon ko sitara kay lya jai

Nibhanay ka irada ho to waada kar lya jai
Chalo mil kar gham-e-hasti ko aadha kar lya jai
Andheri shab ka khatra ho to aisa kar lya jai
Kisi jugnu ki baanhon ko sahara kar lya jai
Yahan kaantay bhi ugtay hain Yahan kalyan bhi khilti hain
In hi kay darmyan reh kar guzara kar lya jai
Bharosay kay nahi laiq koi insaan yahan lekin
Jo jeena hai to logon per bharosa kar lya jai
Lagaya jai andaaza andheri raat ka pehlay
Phir us kay baad ashkon ko sitara kay lya jai

Mout bhi kum khubsurat nahi hoti ho gi

Mout bhi kum khubsurat nahi hoti hogi dosto
Jo bhi is say milta hai zindagi chor daita hai.........

Ajnabi thay ajnabi hain itni gehri Dosti kay baad bhi

AJNABI
main usay kaisay akela chor dun is raah main
sath jo chalta raha majburuyn kay baad bhi
Ban kay khushbo rach gya hai yun meray ehsas main
Door ho paaya nahi wo dooryun kay baad bhi
Rafta rafta usko bhi dunya raas aai gai
Muskara kay wo mila hai ranjishon kay baad bhi
Faslay kab kum huay hain raabton kay baad bhi
Ajnabi thay ajnabi hain itni gehri Dosti kay baad bhi

Ehsas-e-Tanhai

Main kisi aisi jagah ki justuju main hun WASI
Jahan gehri tanhai to ho magar, Ehsas-e-Tanhai na ho........

Zindagi kya hai tu mujh se pooch

Rukh-e-Shabab say aanchal ko jo siraktay dekha
Chaand aakash kay jhurmat say nikaltay dekha
Mujh ko mehsoos hua Dard-e-Judai kya hai
Main nay ik phool ko tanhai say bikhartay dekha
Zindagi kya hai tu mujh se pooch WASI
Main nay gulshan ko baharon main ujartay dekha

Tumharay wastay ab koi nahi hai

Aadtain uski thi bus mujhay jalanay wali
Baat ki hans kay magar dil ko dukhanay wali
Aajkal wo mujhay kuch badla huwa lagta hai
Ho gain uski nighain bhi zamanay wali
Hum nay ikhlas ka daaman nahi chora ab tak
Haye uski to mohabbat hai rulanay wali
Main nay samjha tha guzar jai ga mausam laikin
Rut - e - barsaat bhi nikli to sataanay wali
Tumharay wastay ab koi nahi hai WASI
Khud sai batain na karo dil ko behlanay wali

Takleef daita hai

Sari dunya kay chup rehnay say mujhay gharz nahi
Bus aik us ka khamosh rehna mujhay takleef daita hai

Teri tarah koi deewana ghar say nikla tha

Ajab janoon-e-musafat main ghar say nikla tha
Khabar nahi kay sooraj kidhar say nikla tha
yeh kon phir say mujhay raston main chor gya
Abhi abhi to azab-e-safar say nikla tha...
Ye teer dil main magar bay-sabab nahi utra
Koi to harf lab-e-chara-gar say nikla tha
Main raat toot kay roya to chain  say soya
K dil ka zehar meri chashm-e-tar se nikla tha...
wo qais ab jisay majnon pukartay hain, mirza
Teri tarah koi deewana ghar say nikla tha

Marrr jayen gay hum

Faqat is darr sey sona chor diya Faraz
kay woh khawabon main bhi bichra to marr jayen gay hum....

Saturday, July 24, 2010

Best Love

I remember like it was yesterday, the day I first saw your face.
I remember your smile so vividly, your beauty and your grace.
But little did I know. I could not comprehend,
that you would touch my life so much by becoming my best friend.

Your hand embraced with mine, the star lit sky did see
How, although my chest was pounding, I dropped down to one knee.
I didn't think my heart had room, for my love to grow
There's just no way to love you more, but how little did I know.

Dressed in white, our eyes then met, standing in that sacred room.
When we both agreed to be man and wife my love for you did bloom.
I cannot explain. My heart just grew. I've never felt this way.
But little did I know, that I'd love you more each day.

The memories remain, yet those days are now long past.
The time has gone so sweet and slow, but at the same time fast.
My love for you is greater now, than it ever was before.
But little do I know right now, how much I'll love you more.

Friday, July 9, 2010

SPECIAL GHAZAL


''MAINE ULFAT KA BHARAM SB SAI JUDA RAKHA HAI
''GOYA SEENY MAY TUJHY DIL KI JAGA KAKHA HAI
''DIL YEH CHAHY K TU KABI BADNAM NA HO
''DEKH ZIKR TERA HAI MAGAR NAAM CHUPA RAKHA HAI
''MERE JIS HATH SE KIA THA TU NE MUSAFHA
''DHOYA HI NAI HONTON SE LAGA RAKHA HAI
''AB MAY SAMJHA TERE RUKHSAR PAKARNY KA
''DIL SE DIL KA HAI KITNA FASLA YEH B LIKHA HAI
''KIYA USY LIKHSIN '''''' '''''' KIA USY KAHAIN''''
''JIS NE BEJAAN KR K JAAN BHI LIKHA HAI.......!!!!!!!!!!

ZARORAT KIA THI




♦ ''FASLA ITNA BARHANY KI ZARORAT KIA THI,
-------------------------------------------------------
♦''TUJHY MUJHY SE ROOTH K JANE KI ZARORT KIA THI,
-------------------------------------------------------------
♦''AB JO MUJH SE ROTH KR UDAS REHTY HO,
----------------------------------------------------------------
♦''APNA HATH MERY HATH SE CHORANE KI ZARORT KIA THI,
------------------------------------------------------------------
♦''DUNYA KB KISI K GHAM KO APNA GHAM SAMAJHTI HAI
------------------------------------------------------------------
♦''TUJHY APNA GHAM DUNYA KO DEKHANY KI ZARORT KIA THI,
------------------------------------------------------------------
♦''MAIN AJ TAK IS BT KO NAI SAMAJH PAYA,
---------------------------------------------------------------------------
♦''JB SAATH TMHARY MAY THA TU TM KO ZAMANE KI ZARORT KIA THI..○

♥ DIL KI RAHUN PE CHALNA ASAN TU NAI
LIKIN.......!!!!!!!!!!!!!
♥ HAMSAFAR MUKHLIS HO TO DOORIYAN PAL MAIN MIT JATI HAIN....******

ITS TRUE



◘ Rat phir mujhy sataya chand ne
Tere na hony ka ehsas dilaya chand ne


◘ Na so sake aik pal k liyh b
Apne chahre may tera aks dekhaya chand ne


◘ Udass hoi jb b may teri yad main
Teri trhan mujhy behlaya chand ny


◘ Hirat hoi mujhy yeh dekh kr
Kis qadar wafa ko nebhaya chand ny

♣ Wo jo hath tak chone ko badbi samajhta tha
♣ Gale se lag ke rooya tha bicharne se zara pehly...............

Tuesday, July 6, 2010


Itni muhabt na karo k bikhar jaon may
Thora rotha karo k sudhar jaon may
Agar ho jay mujh sai khata tu ho jana khafa
Par itna b nai k toot jaon may........!!!!!!!

♠Mana k bht keemti hai waqt tera,,
♠♠SAHIL♠♠
♠Hum b nayab hain yeh tm he kaha karty thy,,

♥Palkon se ankhon ki hifazat hoti hai
♥Dharkan tu dil ki amnat hoti hai
♥Yeh dosti ka reshta b bara pyara hai
♥Kabhi chahat tu kabi shikayat hoti hai

Monday, July 5, 2010

Apnay Dil Ki Sunn

Apnay dil ki sunn afwahon se kaam na lay
Mujhay yaad rakh baishak naam na lay
Tera veham hai kay hum bhool gai tujhay
Meri koi aisi saans nahi jo tera naam na lay

Ankhun ka rang bt ka lehja badal gaya
Wo shakhs aik sham may kitna badal gaya
Shyd wafa k khel sai ukta gaya tha wo
Jo manzil k pas a k rasta badal gaya..........!!!!!!!!1

Mera Nam Aitbar Hai

• Us ny kaha tmhy mujh sai kitna pyar hai,
Maine kaha sitarun ka koi shumar hai,

Usne kaha kon tmhy sb se zyada azeez hai,
Maine kaha dil pe jis ka ikhtyar hai,

Usne kaha kon sa tohfa hai tmhy pasand,
Maine kaha wo sham jo tm par udhar hai,

Usne kaha sath kb tak nibhao gay,
Mene kaha jitni sanson ki rafta hai,

Usne kaha mujhko yakeen ay kesy,
Mene kaha mera nam aitbar hai,

♦Har nazar ko aik nazar ki talash hai ♠
♦Har dil may chupa aik ehsas hai ♠
♦Ap sai pyar yun he nai hm ny ♠
♦Kiya karain hamari pasand he kuch khas hai........♠♠

'''' Ankhun'' sai kaho pyar ka andaz na badlain''''
'''' Sanson'' sai kaho dard ka yeh sas na badlain''''
''''Aye ga kabi pyar ka musam b kisi roz''''
'''' Dharkano'' sai kaho roh ka hamraz na dablain''''
'''' Yun sochna aur jagna kismat may hai din rat''''
'''' Yadon'' se kaho pyar ki prwaz na badlain''''
'''' Milte hain dor ja k dryan k do kinare''''
'''' Chahaton'' sai kaho safar ka andaz na badlain''''
'''' Sunty hain hr aik chup may tery anay ki khabr''''
'''' Piyaron'' sai kaho sath chalny ka andaz na badlain''''

Saturday, July 3, 2010


Wo pyar yun karta hai snblnay nai deta
Phir dukh k samandar may ubharny nai deta
Us ki jafa b mashroot hai wafa k sath
Wo dard to deta hai per ronay nai deta,
Karta hai wo war marham ko khanjar pe laga k
Wo zakham tu deta hai pr marny nai deta,
Jo torta hai dil to anson b bhata hai
Barbad to karta hai per ujarny nai deta,
Mehboob mila hai hm ko ajeeb sa mohsin!
Wo agg to lagata hai par jalny nai deta.....!!!!!!!

Tanha


Apni Zindagi Bhi Us Chand Ki Manind Hai
Jo Khubsurat To Dekhta Hai Magr Hai Bht "TAnHA''

Wo apne hathon ko mujhse churana chahty hain
Ya k aik br phir azmana chahty hain
Ab k bar wo kuch ayse badal gya hai
faraz
jesy kisi ao ko apnana chahty hain


♥ Lamhon may qaid kar dy jo sadiyon ki chahtein


""♥♥ Wasi ♥♥''''

♥ Hasrat rahi k aisa koi apna bhi talabgar ho.....♥♥

Khayal Rakhna


Gham-e-zamana faraib dega khayal rakhna
Wafa k raste se lot jana faraib dega khayal rakhna
Sakoon dain gi wisaal ratein chain dain gay udas lamhy
magr ye pal bhr ka muskarana faraib dega khayal rakhna
Tu khwab kis ka main khwab kis ka na pyr mujh ko na pyr tmko
ye aik doujay sy batain krna faraib dega khayal rakhna
Jo qehr toota hai dil pe mery wo qhr tooty na ab kisi pe
ye dil jlana ye ghar lutana faraib dega khayal rakhna........

Ajeeb



"Ajeeb soorat-e-haal hoti ja rahi hai
Raat k bad raat hoti ja rahi hai''


''Wo tu ab bhi mukamal hai pathar ki trhan
reza reza to meri zaat hoti ja rahi hai''


Na me pas usko bula saka............. na dil ki bat bata saka
Wo hansi hansi may he chal dia.......... k may hath tak na hila saka

Yunhi sochta raha dor tak............. magr us ko kuch na bata saka
Ye muqam he tha ajeeb sa............. k may khud ko b na bacha saka

Wo juda howa tu kuch is trhan............. koi rasm tak na nibha saka
usy jana tha wo chala gaya.................. usy aj tak na bhula ska.......!!!

Kami hamari ho gi

♣ Khamoshi se sono awaz hamari hogi
Mehfil may me jo tanha kr jay wo yad hamari hogi ♣



♣ Jb kabi socho gay hamary pyar ko
Hr taraf khushyan hongi par kami hamari hogi ♣

Tanha

► Tanha chor r hum ko hosla b dety ho.......‼
Sanss chen kr jeeny ki dua b dety ho.......‼


►Ik taraf judai ka tazkara b jari hai..........‼
Aur muskarane ka mashwara b dety ho☺....‼

Friday, July 2, 2010

ghazal

Meri rooh nikalne wali hogi♦
Meri sans bikharne wali hogi♦

phir daman zndgi ka chuty ga♦
dhaga sans ka b tutay ga♦

phir wapis hum na aien gay♦
phir hum say koi na roothy ga♦

phir ankhun may noor na hoga♦
phir dil gham sai choor na hoga♦

us pal tm hmko thamo gay♦
hm sai dost apna mago gay♦

phir hm na kuch b bolain gay♦
ankhain b na kholainn gay♦

us pal tm ro do gay♦

bas

phir tm hm ko kho do gay♦
Muhabbat ka bicharr jana to aik rasam hai


""Galib""


Ajeeb baat to ye hai k dost bhi bewafa ho jaty hain.

Barish

"" Barish ban kar barasti hain uski yaadein mujhy par""


'''''WASI''''''


"" Zara soch kitna dilkash hota hoga meri tanhai ka manzar""

Meri neendain kharab hoti hain

Jin shaamon main tujhay bholna chahen
Wohi raatein azaab hoti hain
Apni yaadon kay silsilay roko
Meri neendain kharab hoti hain

Meri pagal si dosti tumhain yaad aye gi

Meri pagal si dosti tumhain yaad aye gi
Jab chand sitaray chamak rahay hongay
Jab yadoon kay phool mehak rahay hongay
Jab neend ko nain taras rahay hongay
Jab aankhon say aanso baras rahay hongay
Meri pagal si dosti tumhain yaad aye gi
Jab tanhai se dil ghabraye ga
Jab tumhain akela pan sataye ga
Jab koi khawab hi nahi aye ga
Jab phool kitab main hi reh jai ga
Meri pagal si dosti tumhain yaad aye gi

The Best Ghazal - Teray Naam

Ek chadar ko rahay mehboob pay bicha dena
Main mar jaon to  osay mera kafan bana dena
Thori si khak un kay qadmo ki lay kar
Anso un ka muaj par gira daian
Bohat roye ga mujhay dekh dekh kar ek shaks.
Is liye dair na lagana mujhay jaldi dafna daina
Lagana ek poda meri qabar kay sirhanay
Meray yar kay ansun us ko pila daina
Agar bohat roay meri qabar pay a kar wo
To nikalna mujhay wahan se aur jala daina

Girtay ansuon main bhi muskura laingay hum......

Ruthi jo zindagi to mana laingay hum
Mila jo gham to nibha laingay hum
Bus tum raho sath hamaray sada
Girtay ansuon main bhi muskura laingay hum......

zawal

kisi or se koi wasta na sawal tha na malal tha!!
mujhy ab b us ka khayal hy mujhy kal b us ka khayal tha!!

wohi jis k chehry ki roshni mera rang thi mera roop thi
wohi shakhs tha meri arzu wohi mera husn-o-jamal tha!!

wohi chandni wohi chand tha magr raat garg b maand tha
teri yaad thi mere rubaru mera rabta b bahaal tha!!

jo zuban-e-ekhalq pe aam thein wo tumhri meri kahaniyan
mujhy aaj tk na khabar hui wo urooj tha k zawal tha!!!!!

Hamdard

Mujhy se bichr kr wo ab tak nahi roya



FARAZ



koi tu hamdard hai jo use rone nahi deta...,,

Saqi sharab laa kay tabiyat udas hai

Saqi sharab laa kay tabiyat udas hai
Mujhay itni pila kay tabiyat udas hai
Tere jaam ki kasam apne ap main nahi hun
Ankhon se pila kay tabiyat udas hai
Apno nay thukraya hai mujhay khuda ki qasam
Tu apna ban kay dikha kay tabiyat udas hai...........

Aaj kisi ki dua ki kami hai

Aaj kisi ki dua ki kami hai
Tabhi to hamari aankhon main nami hai
Koi to hai jo bhool gaya hai hamain
Par humaray dil main un ki jagah ab bhi wahin hai

Phir us ki chahat main kami kyoun hai?

Aaj phir aaina hum se poochta hai
Kay teri aankhon main nami kyoun hai
Usay kya batayen kay
Jiski Chahat main khud ko bhula dya
Phir us ki chahat main kami kyoun hai?

Main uss kay darr pe le ke dil-o-jaan bhi gya

Dil say wisaal-e-yaar ka armaan bhi gya
Dekho jo ghar udas to mehman bhi gya
Kar li hai uss ne phir gham-e-jana se dosti
Lo apne haath se dil-e-nadaan bhi gya
Mushkil tha apni raah pe lana usay magar
Tha baat mein khuloos to wo maan bhi gya
Dikhlaye kya bahaar ne josh-e-junoon kay rang
Daaman bacha rahay thay garaiban bhi gya
Us ki wafa kabhi bhi na haasil hui mujhe
Main uss kay darr pe le ke dil-o-jaan bhi gya

BHOOL

Mujhy maaf kr mere hamsafar
tujhe chahna meri bhool thi,

kisi raah per jo uthhi nazar
tujhe dekhna meri bhool thi,

koi nazm ho ya koi ghazal
kahin raat ho ya kahin seher,

wo gali gali wo sheher sheher
tujhy dhondna meri bhool thi,

mere gham ki koi dava nahi
mujhy tujh se koi gilaa nai,

mera koi tery siva nahi
yahi sochna meri ""bhool"" thi........
♦ Kyun udaas baithy ho
is trhan andheriy main



""FARAZ""



Dukh to kam nai hoty
Roshni bujhaney se.............
Apne CHAHAT se dena sukoon itna
k
mujhy tumhare baad koi acha na lage,


Tumhain karni hai Bewafai to is ada se karna
k
mujhy tumhare baad koi bewafa na lage,

GHAZAL

Apne usool yun'b kabi torne pare,

Uski khata thi hath mujhy jorne pare,

Aya na jb qarar dil-e-beqrar ko,

Yadon k rukh tmhari tarf morne pare ,

Usko to meri yad b ai na 1 din

Apne paraye jis k liye chorne pare

MOHSIN wo Shakhs khud bara be usool tha,

Apne usool jis k liye torne pare..............!!!!

Tuesday, June 29, 2010

HAsi her shaam tere naaam karain hum

Kisi fursat kay lamhon mein millo to tera deedar karain hum
Tujhay baahon mein saja ker batein hazar karein hum
tere honton kay summundar mein is terha kho jain
Na kisi sahil na kisi manzil ki talash karain hum
Ye zindagi to faqat ik dhalti shaam hai
aisi her shaam tere naaam karain hum

Sunday, June 27, 2010

Sheeshay ka

Pathron ki basti main
karobar sheeshay ka
Koi bhi nahi karta
Aitbar sheeshay ka
Kaanch se banay putlay thore door chalte hain
Chaar din ka hota hay ye khummar sheeshay ka
Ban sanwar kay harjaai aaj ghar se nikla hai
Jane kon hota hai phir shikar sheeshay ka
Dil ka aazmanay ko aik sang kafi hai
Bar bar nahi lena imtehan sheeshay ka
Faraz is zamane main aarzi hein sub rishtay
Hum nay bhi banaya tha aik yar sheeshay ka

Janay tum kis tarah mujhko bhula daitay ho

Aksar meri aankhon ko tum jheel bana daitay ho
Yaad aatay ho is qadar kay mujhko rula daitay ho
Bhool jana to nahi aasan tumko magar...
Janay tum kis tarah mujhko bhula daitay ho

Abhi Ghar Na Jaana

Abhi ghar na jana
Ye bikhri si zulfain,              
Ye phaila sa kajal
Ye baichain aankhain,
Ye simta sa aanchal
Teray haal say log pehchan lain gay
Tujhay dekh kar sab mujhay jaan lain gay
Ye behkay qadam
Ye larkharati jawani
Ye baitab dil or muhabbat diwani
Shafaq jaisay gaalon pay ubhri hui hai
Meray honton ki ik mehakti hui nishani
Teray jism say urti meri yeh khushboo
Suna day gi har ik ko Sari Kahani
Na bun jai apna milan ik fasana
Suno Jan-e-Jana Abhi Ghar na jana

Kisi ko chahnay ki tamana

Kisi ko chahnay ki tamana hamain lay doobi Saqi.
Simatnay ki aarzoo main bikhartay chaly gai

Khel main Maharat thi

Wo mohabbat thi, wo na chahat thi
Usko to dil lagi ki aadat thi
Main nay mazbut jisko jana tha
Kitni kamzor wo rafaqat thi
Wo jo waaday thay, jhootay waaday thay
Piyar kiya tha, teri siyasat thi
Bazi-e-ishq haarta kaisay nahi
Us ko isi khel main to Maharat thi

Sultan Bahoo

Kujh bughz di reet vich nai milda
O haar te jeet vich nai milda
Makhlooq-e-khuda naal pyar te kar
Rab sirf maseet vich nai milda

Monday, February 8, 2010

Humari qadar hogi unhain, tanhayoun main Faraz
Abhi to bohat se log hain qareeb un k dil lagi k liye
Lamha Lamha mera is Dukh mein basar hota hai Faraz
K Zindagi bohat kam hai tujhay chahnay k liye